WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

AryanWap - Topics
Create Your Own App Store

* AryanWap > Topics


Subject: Shayari-Dabba
Replies: 33 Views: 4075

aryan.k8 27.11.12 - 07:21am
Shayari Collection! Post your shayari here! *

adnaan69 27.11.12 - 11:34am
Tu mujhse naaraaz hai kai roz se lekin,

Hai meri khata kya mujhe maaloom nhi hai,

Adnan sa Aashique hai tujhe chahne wala,

Aye jaan e jigar kya tujhe maaloom nhi hai.?.? *

aryan.k8 28.11.12 - 05:33pm
Mili Azadi Jisse Wo Shaks Musalman hi Tha, Diya Hind ko Taj Mahal jisne Wo Shaks Musalman hi Tha, Aaj kehte Hai Ye Log ki Dehshat Gard Hai Musalman, Shuru ki Jisne Jang-E-Aazaadi Wo Tipu Sultan Musalman hi Tha, Jaha Lehraate Hai Tiranga Aaj Bhi Badi Shaan Se, kiya Taameer Jisne Laal Qila Wo Shaks Musalman hi Tha, Sare Jahan Se Accha Hindustan Hamara Hai, Likha Jisne Tarana-E-Hind Wo Shaks (Allama Iqbal) Musalman hi Tha.! *

adnaan69 29.11.12 - 08:14am
Very nice bro. god bless u. *

aryan.k8 29.11.12 - 08:45am
Khuda ko ek maante hain lekin Khuda ki ek nahi maante... *

aryan.k8 29.11.12 - 09:00am
Mere Bachpan ke din bhi kya khoob the, BE-NAMAAZI bhi tha aur BE-GUNAH bhi.. *

aryan.k8 29.11.12 - 07:27pm
Badnaam Kar Rahe Hain Naam Jihaad Ka, Dehshat Phailaana Nahi Hai Kaam Jihad Ka, Jihaad To Wo Paak Cheez Hai Jiske Aage Insaaniyat Ajeez Hai, Karte Hain Hifaazat Maasoomon Ki,Taaqat Bante Hain Ye Mazloomon Ki, Haq Ke Liye Sada Ye Ladte Hain, Roshni Dene Ke Liye Ye Marte Hain, Bujhkar Bhi Ujaala Jo Kar Jaate Hain, Sachchai Ki Raah Pe Jo Mar Jaate Hain, Insaaniyat Ki Jo Hifaazat Karte Hain, Khair Ke Liye Jo Sooli Chadte Hain.
Wo Log Jihadi Nahi Hain Azeem, Jo Masoomon Ka Khoon Bahaate Hain. Wo Log To Shaitaan Ke Saathi Hain, Jo Bane Basaaye Ghar Ujaadte Hain. Jihad Naam Hai Aman Ka, Khair Ka, Jihad Naam Nahi Ruswaai Ka, Na Hi Bair Ka, Yahi Hai Doston Farmaan Jihad Ka, Phir Kyun Kharaab Kar Rahe Hain Log Naam Jihad Ka? *

aryan.k8 30.11.12 - 03:58am
Phool hun Gulaab ka Chameli ka na samajhna,
Phool hun Gulaab ka Chameli ka na samajhna,
Aashiq hun aap ka, apni saheli ka na samajhna!.. *

aryan.k8 30.11.12 - 05:19am
Hawa Khilaaf thi lekin Chiraagh bhi khoob jala,
Khuda bhi apne hone ka kya saboot deta hai.. *

aryan.k8 30.11.12 - 04:55pm
Tere pyaar me na jaane kitna ghum paya hai,
Na jaane kitne aansu kitna Lahu bahaya hai,
Soorat jo teri dekhi thi Khoobsoorat tu nazar ayi thi,
Dil jab nazar aya to bewafai hi chaayi thi!
Na jaane is tarah tumne Kitno ko tadpaya hai, Tere Pyaar me na jaane kitna ghum paaya hai... sad.GIF *

aryan.k8 30.11.12 - 04:58pm
Log kehte hain be-akal hai tu.. Maine socha mere baare me kya ye Rabbul Aalameen se zyada waaqif hain? *

adnaan69 30.11.12 - 05:02pm
Baandh rakha hai zehen mein jo khyaal Uss mein tarmeem kyun nahin karte,
Beysabab uljhanon mein rehte ho Mujh ko tasleem kyun nhin kerte.. *

aryan.k8 30.11.12 - 05:36pm
Zindagi se hum apni kuch udhaar nahi lete,
Kafan bhi lete hai to apni zindagi de kar!.. *

aryan.k8 30.11.12 - 05:39pm
Very nice adnaan bro thanx alot.. Apne baaki saathiyo ko bhi yaha post karne ke liye invite karo! *

adnaan69 30.11.12 - 05:51pm
Insha Allah. *

adnaan69 30.11.12 - 05:53pm
MOSAM BADAL RAHA HAI APNA KHAYAAL RAKHNA
KYUNKI..
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
BADALTE MOSAM ORR BADALTE LOG DONO TAKLEEF
DETE HAIN...MOSAM BADAL RAHA HAI APNA KHAYAAL RAKHNA
KYUNKI..
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
?
BADALTE MOSAM ORR BADALTE LOG DONO TAKLEEF
DETE HAIN... *

aryan.k8 1.12.12 - 08:22pm
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai, Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai.
Ek se kartaa nahin kyon doosara kuch baat-cheet, Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai.
Aaye Shaheed-E-Mulk-O-Millat mein tere oopar nisaar Ab teri himmat ka charchaa gair ki mehfil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai, Dekhna hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai.
Waqt aane de bataa denge tujhe aye aasamaa, Hum abhi se kyaa bataayen kya hamaare dil mein hai!
Kheench kar laayee hai sabko qatl hone ki ummeed, Aashiqon ka aaj jamaghat koonch-e-qaatil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai, Dekhnaa hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai!
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baithaa udhar, Aur hum taiyyaar hain seena liye apnaa idhar. Khoon se khelenge holi agar vatan muskhil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Haath jin mein ho junoon kat te nahin talvaar se, Sar jo uth jaate hain vo jhukte nahin lalkaar se.
Aur bhadkega jo shola sa hamaare dil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai!
Hum to nikle hi the ghar se baandh kar sar pe kafan, Jaan hatheli par liye lo badh chale hain ye qadam.
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai, Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai!
Yun khadaa maqtal mein qaatil keh rahaa hai baar-baar Kya tamanna-e-shahaadat bhi kisi ke dil mein hai?
Dil mein toofaanon ki toli aur nason mein inqilaab, Hosh dushman ke udaa denge hamein roko na aaj
Door reh paaye jo hamse dam kahaan manzil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
bhi kya hai jis mein na ho khoon-e-junoon, Kya wo toofaan se lade jo kashti-e-saahil mein hai.
Chup khade hain aaj saare bhai mere khaamosh hain, Na karo to kuchh kaho mazhab mera mushkil mein hai, Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai, Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai! *

adnaan69 2.12.12 - 01:27am
Very nice bro. *

aryan.k8 2.12.12 - 06:30am
Thanx man but this shayari was actually said by Ram Prasad Bismil- an Indian freedom fighter *

adnaan69 2.12.12 - 06:35am
I know. but mujhe puri yaad ni thi. *

aryan.k8 3.12.12 - 04:33am
Momin Ke Liye To Jan-E-Hasti Hay NAMAZ
Iman Ki Aghosh Me Basti Hay NAMAZ
Milti Nahi Mehshar Me Kisi Bhi Qeemat Par
O Zindagi Walon Parh Lo Abhi Sasti Hay Namaz.. *

aryan.k8 3.02.13 - 11:09am
Dekhi nahi hai aaj tak khoobsurati itni jitni khubsoorati tere in ruksaaron me hai,
Dekhi nahi aaj tak samandar me wo gehraai jo gehraai teri in Zulfon me hai..
Aa chupa lu tujhko mere is bad-kismat se dil mein taa ki iska zarra zarra raushan ho jaye! *

aryan.k8 3.02.13 - 11:23am
Jana hai sabko ek din har ek ka aayega, Mat kar naaz itna khud par ay maati ke putle, kal ko tu bhi matti me mil jayega.. *

aryan.k8 3.02.13 - 12:31pm
Mat poocho ye ki hum aap se kitni muhabbat karte hain.. Naap sako to naap lo..
Samandar ki gehraai bhi koi naap saka hai bhala?
Mat poocho ki hum aap se kyu itni muhabbat karte hai,
Woh muhabbat hi kya jo bahaane dhoonde? *

adnaan69 3.02.13 - 01:21pm
Dil Tuta,Use Tut Hi Jana Tha
Kasur Mera ,Tujhe Chahna Tha
Khud Ko Dard Dene Ka Shauk Hai
Mujhe,Ye Zakham To Khana Hi
Tha
Parayon Se Ummid Kar Rahe The
Hum
Unhe To Duniya Main Kho Jana Hi
Tha
Kaise Koi Dabaye Apne Dil Ke Dard
Ko
Banake Ansu Use Chalak Jana Hi
Tha
Kisko Fursat Hai Sune Koi Meri
Dastan
Wo To Ek Fasana Hai Use
Chupana Hi Tha
Shayad Mit Gaya Khushi Aur Gum
Ka Fasla
Apne Gum Ke Liye Hume,
Muskrana Hi Tha.
.. *

aryan.k8 3.02.13 - 07:09pm
Kya Khoobsurat tu hai tere in rukhsaaro ko choo lene de
Tere in bheege hothon se hume ras pee lene de
Uff Teri ye qaatil adaah pe mai hua Fidah,
Aa mujhe basa le apne dil me Qat'an na karna khud se judah
Jo bikhere tu ye gehri zulfein teri, gehre se gehra beher bhi sharma jaaye
Aaj tak hum tujh jaisi Qaatilana haseen cheez na dekh paaye.. *

aryan.k8 3.02.13 - 08:25pm
Ay Bad-deen shaqs, hoga tu paise wala magar daulatmand to wo hai, Allah se darta jo hai..
Honge tere paas bistar behtareen magar neend dilaata wo hai, Kehlaata RabbuL AalameeN jo hai... *

adnaan69 4.02.13 - 01:11am

Muhabbat Hum Nay Ki Jo Khataa HoGai,
Ki Wafaa Aur Zindagi Sazaa Ho Gai.
Wafaa Kartay Rahay Hum Ibadaton Ki Tarha,
Phir Ibadat Khud Ek Gunah Ho Gai.
Kitna Suhana Tha Safar Jab Saath Thy Hum
Phir Kiya Huwa Jo Manzil Judaa Ho Gai.
Koi Chahat Koi Hasrat Koi Umeed Na Rahi,
Tu Gaya To Laga Duniya Fanaa Ho Gai.
Ye Duaa Ki Kay Jisay Chahay Wo Milay Tujhe,..
Par Ye Duaa Apnay Liye Bad-Duaa Ho Gai.
Abhi Kuch Dair Hoi Usay Yaad Kartay Huway.
Ye Aaj Kyun Itni Jaldi Subha Ho Gai....!!!. *

aryan.k8 4.02.13 - 02:52am
In baato ko rakh zara Madde Nazar Jana Hoga tujhe bhi kisi din kabar
Nahi kar paya Khuda ko raazi agar, jahannam me jayega ab tayyari kar..
Yaad kar us ghadi ko jab koi kisi ka na hoga na baap bete ka na beta baap ka hoga.
Kar liya jisne Raazi khuda ko wo kamyaab, reh gaya jo peeche wo barbaad samjho.. *

adnaan69 4.02.13 - 04:27am
Zara Sa Dheyan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai, Wafa Ka Man Rakh Lena, Meri Pehli Muhabbat Hai,
Kahan Is Umer Mein Hum Bhais Badlein Ge Faqeeron Ka, Milan Aasaan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,
Judai Ke Dino Mein Log Chehre Bhool Jate hain, Meri Pehchaan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,
Judai To Main Seh Luungi, Magar Tum Phir Se Milne Ka, Koi Imkaan Rakh Lena ,Meri Pehli Muhabbat Hai.
Agar Shaaya Karaao Apna Pehla Sheiri Majmua,,, To Yeh Unwaan Rakh Lena , MEIRI PEHLI MUHABBAT HEI.. *

riazaasi 4.02.13 - 02:36pm
Bagh..e.,bahisht se muje hukm.e,safar dia tha q ?

Kar,e,jahan daraz hai ab mera intezar kar.

Who is want to Earn Moneyyyyyyy ? Just follow the link given below and get start.http://earn4refer.com/ref.php?page=act/ref&invcod=198635 *

aryan.k8 5.02.13 - 09:21am
Shikayat karte hain Musalman ki hume gairon ne sataya, khoob mara, humare gharon ko jalaya
sataya to logon ne nabi ko bhi tha lekin kiya tha nabi ne wo aisa sabar ki pahunch gaya aaj Paigam-E-Deen har ghar
Kaabu tu apne in jazbaaton ko kar, chalta ja nabi ki in raahon par, Phir dekh Mustaqbil-E-Aalam kya hoga, har ghar, har Khandaan musalmaan hi hoga! *

aryan.k8 14.03.13 - 08:27pm
Wo lamhein wo baatein teri ab bhi mere dil me basi hui hain,
Rooh meri teri rooh me ab bhi phansi hui hai..
Dekhte ho mujhko aise jaise bade naadaan ho... Dil churaane ki khataa bhi kabhi maaf hui hai?-
Courtesy- Ashar Iklil Khan *

aryan.k8 16.04.13 - 11:44am
Eid milaadun nabi ke din huzoor ke naam par D.J bajaya hum nahin karte,
Allah ke siwah kisi ke aage sar tikaya hum nahi karte,
Musalmaan ko musalmaan ke khilaaf bhadkaya hum nahi karte,
Sunni to hum bhi hain, ye to kuch JAAHIL LOG hain jo khud ko sunni samajhte hain,
Kehte ho hum huzoor par salaam nahi bhejte?
Tum kya jaano humare baare me tum to bas jano wohi jo ulta seedha tumhare molviyon ne bataya ho.. Kabhi aakar humse bhi poochen ki asal baat kya hai..
Dargah par to hum bhi jaate hain magar use mandir banaya hum nahin karte..
Jo kuch karte aur kehte ho yahan badi thaat se,
Arab me jaa kar karo to kodeypadenge,
Jaate hain Jamaat me hum aiteraaz tumhe kya hai?
Seekhtey hain deen ki baatein wahan aiteraaz tumhe kya hai?
Logon ko deen ki taraf bulate hain aiteraaz tumhe kya hai?
Aapas me mil ke raho isi me bhalaayi hai,
Kabhi phoot na pade mo'minome yahi humari du'ai hai :) *


* Reply
* AryanWap Forum


Search:
topics replies


* AryanWap

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store